Papa❤️ Father's Day par Shayari | Father's Day Shayari | Father's Day Status | Father's Day Poetry
“Papa” — ek shabd nahi, ek poori duniya hai.
Woh jo khud bhale thak jaaye, par humein kabhi thakne nahi deta.
Woh jo khud ke liye kuch na maange, par humare liye sab kuch de de.
Aaj Father's Day hai, aur main sirf ek celebration nahi,
ek ehsaas likhna chahti hoon… unke liye jo kabhi shikayat nahi karte,
par har dua mein hum hi hote hain.
Is blog mein, main un lamhon ko yaad karungi jo papa ne mere liye jeeye,
unka pyaar, unki chhup chhup ke ki gayi qurbaniyaan,
aur woh rishta jisme lafzon se zyada aankhon ka connection hota hai.
Agar aap bhi apne papa se juda hua ek pal ya emotion share karna chahein,
toh yeh blog aapka hi ek hissa hai.
Suniye Papa,
Aaj bolne ka mann hai,
Warna har baar chhup ho jaati hoon…
Par dil me har waqt aap hi rehte ho.
Mujhe yaad hai woh chhoti chhoti baatein,
Jab main darr ke roti thi aur aap haath pakad lete the.
Aapki woh aankhon ki shanti,
Jaise keh rahi ho — "Main hoon na beta."
Kabhi khud par pyaar nahi dikhaya,
Par meri har khushi aapke liye sab kuch thi.
Apni thakan chhupake mujhe hsa diya,
Aur main samajh hi nahi paayi ki aap kya kya seh gaye mere liye…
Papa,
Aaj bhi jab mushkil aati hai na,
To sabse pehle aap yaad aate ho.
Aapke bina toh main complete hi nahi hoon.
Mujhe na bas yeh kehna hai —
"Aap ho toh sab kuch hai…
Aap nahi toh sab adhoora lagta hai."
Happy Father's Day, Papa ♥️
Video Poetry-
0 टिप्पणियाँ