World Hindi Day | Hindi Poetry | Happy World Hindi Day | Hindi diwas par kavita | Hindi day poetry
Hindi ek pyari bhasha hai jo
hamari pehchaan aur sanskriti
ka hissa hai.
Isse bolna sirf shabdon ka istamaal nahi,
balki apne jazbaat freely
samjhana aur btana hai.
Aaj kal log English ko zyada
importance dete hain aur
Hindi bolne mein sharm
mahsoos karte hain.
Lekin humein samajhna chahiye
ki Hindi bolne mein
koi kami nahi hai.
Yeh hamari matrabhasha hai,
jo humein apas mein jodti hai.
Kisi bhi language ka knowledge
hona achha hai,
but apni bolchal ki bhasa ka
use krne me sharmana nhi chahiye.
Kai log sochte hain ki
English bolne se hi society me
standard dikhai jaati hai,
lekin sach yeh hai ki
apni matrabhasha mein
baat karna ek garv ki baat hai.
Hindi boliye,
aur apne aap par garv kijiye.
VIDEO OF POETRY
0 टिप्पणियाँ