Chai Aur Tum ☕❤️ | Chai Poetry | Chai Shayari
Chai aur tum,
Dono ek jaise lagte ho sakoon se bharpoor
aur har din ki shuruaat ka hissa.
Subah ki thandi hawa ho
ya shaam ka aakhri suraj,
tumhari baatein chai ki garm si ghut
peene jaisi lagti hai
ahista-ahista dil ko sukoon deti hain.
Tumhari muskaan us meethi adrak wali
chai ki yaad dilati hai,
jo ek thakan bhare din ke baad jaan daal deti hai.
Jaise chai bina shakkar pheeki lagti hai,
waise hi tumhare bina din adhoora sa lagta hai.
Mana ki tum mujhe din ke
do cup chai ki hi izazat dete ho,
but ye chai hi to hai
jo hamare milne ka bahana hoti hai.
Jab tumse mulakat na ho
to ye chai hi tumhare aas paas hone ka
ehsaas dilati hai.
Chai aur tum-ek behtareen zarurat,
ek khubsoorat ehsaas ho.
Na tumhari chahat chutegi na hi chai ki aadat.
0 टिप्पणियाँ